Milke bichdana dastoor hai zindgi ka,
Ek yahi kissa mashhur h zindgi ka.
Beete huye pal kabhi laut kar nhi aate,
Yahi sabse bada kasur h zindgi ka...
Oss ki buunde hain ya aankho ki nami hai?
Na uppar assma hai na neeche jameen hai.
Ye kaisa mod hai zindagi ka?
Unki hi jarurat h or unki hi kami hai..
Falak me apni jannat ke sitare nahi,
Hum apke hain par ap humare nahi,
Chhoti si naav lekar us samandar me utar gaye,
Jis samandar me door-2 tak kinare nahi.
Do PalKi Zindgani Yahi Bit Jyegi
Hr Kali Raat K Baad Nyi Subah Ayegi
Agar Khas Logo Ki Yaad Satayegi To
Kasam Se Aapki Yaad Sabse Pahle Ayegi.
Ho nahi sakta ki mujhko apki yaad na aye,
bhulkar bhi bhulne ka ahsas na aye,
aap bhulo to apki marji,
hum bhule to agli saans na aye.
Humse koi gila ho jaye to maaf karna..
Yaad na kar paye to maaf karna..
Dil se to hum apko kabhi bhulte nahi..
Par ye dil hi THAM jaye to maaf karna.
Is Barsat Mai Ham Bheeg Jayenge,
Dil Mai Tamnna Ke Phool Khil Jayenge,
Agar Dil Kare Milne Ko To Dil Se Yaad Karna
Barsaat Bankar Ham Baras Jayenge.
Ishq vale aankhon ki baat samajte h,
sapne me mil jaye to mulakat samjte h,
rote to aasman bhi h pyar k liye,
par log usse barshaat samajte h.
Unki ek nazar ko hum taraste rahenge
ye aansu har pal baraste rahenge
kabhi bitaye the kuch pal unke saath
bas yahi soch kar hum haste rahenge.
Jab Bhi Karib Aata Hu Btane K Liye,
Zindgi Dur Rakhti Hai Stane K Liye
Mehfilo Ki Shan Na Samjna Mujhe
Me To Hasta Hu Gam Chhupane K Liye.
Jab Tutne lage Hosle to bas ye yad rakna,
Bina Mehnat k Hasil Takhto-Taj nhi hote,
Dhund lete hai Andhero me Manzil apni,
Qki Jugnu kabi Roshni K Mohtaj nhi Hote.
Zara si bat dertak rulati rhi
Khushi me b ankhe ansu bhati rhi
Koi mil k kho gaya to koi khoke mil gya
Zindagi humko bas aise hi aazmati rhi.
Zamee K Hr zarre ko aftab Kr denge.
Gulshan K Hr phool ko gulab Kr denge.
Hr pal intezar karoge Hamare SMS ka.
Aap ki adat Hum itni kharab Kr denge...
Baate karke rula na dena..
chup rehke saza na dena..
na de sake khushi toh thodi khushi he sahi bus 1vaada karo ki zindgi me hume kabhi bhula na dena...
raaj dil ka dil me chhupate he wo,
samne aate hi najar jhukate he wo,
bat karte nahi ya hoti nahi,
par shukr he jab bhi milte he muskurate he wo...
Kabi laga k wo hame sata rahe h
dusre pal laga k wo karib aa rahe h
wo to palako k Aasuo ki tarah pata hi nhi lagta
sath de rahe h ya chhod k ja rahe hai,
kaun kehta hai khamoshiya khamosh hoti hai,
khamoshiyo ko khamoshi se suno
kya pata khamoshiya wo keh de
jinki apko lafzo me talash hoti hai...
Kehne ko shabd nahi hai bhjne ko naye sms nahi hai.
Par dil se ek baat kahte apna khayal rakhna
qki mere paas aap jesa dusra dost nahi hai.
Khuda ne logo ko Dil se milaya,
Har kisi ke liye kisi Ko banaya,
Par kehte hai Rishta Usika ban Paya,
Jisne Har rishto ko dil Se nibhaya..
Kisi K Dil Pe Kya Guzri Koi Anjan Kya Jane,
Pyar Kisko Kahte H Ye Nadan Kya Jane,
Hwa K Sath Uda Le Gaye Ghr Parindo Ka,
Kese Bane The Ghosle Ye Tufan Kya Jane.
Kuch is tarha s wo mohabat ko nibha dete h,
hr din dil p ek jkham laga dete h,
yad karte nhi yad dilane pr b,
aur bhulne ka hum pr ilzam laga dete h..
Koi chupata hai Koi batata hai
Koi rulata hai Toh koi hasata hai
Dosti toh har kisi ko hai kisi na kisi se
Fark itna he ke koi AZMATA he aur koi NIBHATA hai.
Kitab k panno ki koi zuba nhi hoti,
har ek ki zindgi buri nhi hoti.
Dil ko jo samjhe aisa koi mile to tham lena.
Har ek ki zindagi me MOHOBBAT likhi nahi hoti.
Kuch log apne dost ko rula dete hai,
dost kitna bhi anmol ho use bhula dete hai,
dosti nibhana ho to Gulabo se sikho,
jo khud tut kar do dilon ko milate hai.
Kitabo me likha he fool todna Mna he,
bagon me bhi likha he fool todna Mna he,
sabse kimati chij to hoti he dil,
par kyun kisi ne nahi likha K dil todna Mna h.
kaun kehta hai khamoshiya khamosh hoti hai,
khamoshiyo ko khamoshi se suno
kya pata khamoshiya wo keh de jinki apko lafzo me talash hoti hai...
Khush Naseeb hote hai ye Badal,
Jo Door Rehkar Zamin par Baraste hai,
Aur ek Badnaseeb Hum hai,
Jo Ek hi Duniya me Rehkar bhi Milne ko Taraste hai..
Kisi ko pyar karna nahi aata,
kisi ko pyar ke siwa kuch nahi aata,
bas yahi do raaste hai jindagi ke,
Ek unhe nahi aata ek hame nahi aata...
Teri dosti hum is tra nibhayenge,
tum roj khfa hona hum roj tumhe manayenge,
maan jana mnaane se,
warna bhigi palke lekar kahaan jaayenge. . .
Teriyan yaada naal prit paai bethe han,
eh na samjhin teinu bhulaai bethe han,
duriyaan ki karangiyaan dur saanu,
jad ruh wich tenu basaayi bethe han.
Thak gye hum unka intejar krte krte.
Roye hajar bar khud se takrar krte krte.
2 lafj unki juban se na nikle.
Toot gaye hum 1 tarfa pyar krte krte.
Wo has ke mile hum pyar samajh baithe,
bekaar hi ulfat ko ezhar samajh baithe,
itni achhi to na thi kismat hamari,
fir q khud ko unki mohbt ka hakdar samajh baithe
Mat raho dur apno se Itna ki waqt k faisle pr afsos ho jaye,
Kal najane kese ho mulaqat hamari,
wo roye lipatkar humse,
aur hum khamosh ho jaye...
Bahut kuch sikha jati hai jindegi,
hasa kar rula jati hai jindagi,
ji sako to ji lo kyunki bahut kuch baki rahta he
aur khatam ho jati hai zindagi.
Asu ki kimat wo jante hai jo kisiko chahte hai
Dil ka gam wo jante hai jo kisiko yaad karte hai,
HAMARE dard ko wahi jante hai jo HAME Dil Se apana manate HAI
Ankhon k kinare jo hamne bhigoye nhi,
wo samajte h ki hm kabhi roye nhi,
puchhate h ki kya dekha khwab me kal rat ko,
unhe kya pta kai raaton se hm soye nhi.
Nasha Jaruri Hai Jindagi k Liye,
Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye.
Kisi Ki Mast Nighon Me Doob Jao,
Bda Hasin Samundar Hai Khudkushi K Liye..
Pyar se chaho to armaan maang lo,
ruthkar chaho to muskan maang lo,
tamnna yeh ki na dena kbhi dokha,
phir hanskar chaho to jaan maang lo.
Ye chhoti si yaden bada sila degi,
gulab ki tarah aapka chehra khila degi.
mat chhodna kabhi hamari yaadon ko,
ye yaade khud aapko hamse mila degi.
Yakin mano wo maut b badi suhani hogi,
Jisme hamari dosti virani hogi.
Par wada raha tumse pahle hum jayenge,
Q ki tumhare aane k liye jannat to sajani hogi.
"Log phoolo se mohabbat karte hai,
Kanto ko kisne yaad kiya,
Hum un se mohabbat karte hain,
Kyonki phoolo ne hme barbaad kiya.....
chahte the jinhe unke dil badal gye,
samunder to wahi tha par sahil badal gye,
katal aisa hua kiston mai mera,
kabhi badle khanjar to kabhi katil badal gye.
kuch badli hui taqdeer nazar aati hai,
dur tak yadon ki janjir nazar aati hai,
mai dekhun bhi to akhir kis tarah,
har chehre pe teri tasveer nazar aati hai.
dil ki suno jazbaat se kaam na lo,
mujhe yad rakho beshaq mera naam na lo,
apka waham hai hum bhul gye apko,
iss tarah meri dosti ka imtihan na lo.
arzoo nhi kisi ko rulayenge hum,
na tamanna hai kisi ko bhulayenge hum,
dua hai rabse jisko itna yaad karen,
usko bhi utna hi yaad aayein hum.
na jaane q mujhe ansu bahana nhi aata,
dard e dil ka haal batana nhi aata,
ekk baar milke bichhud jaate hain mujhse mere sathi,
kya humein hi kisi ka sath nibhana nhi aata?
dard mai koi mausam pyara nhi hota,
pyase dil ka pani se guzara nhi hota,
koi zara samjhe to humari ye bebasi,
hum sabhi k koi humara nhi hota.
apno k chehre jab,kareeb se nazar aayein hain,
tab kahin ja k humein,jeene k hunar aaye hain,
ye ilzaam kisne sangdili,laga diya hum pe,
hum to unki galiyon se,kab k guzar aaye hain.
aap zindgi ho,zindgi ki har khwaish ho,
rab se ki gyi pyar ki meri guzarish ho,
socha na tha kabhi ki aisa bhi ho jayega,
ikk anjaan iss tarah meri jaan ho jayega,
juda na ho hum kabhi bas yahi dua karte hain,
sach yeh hai ki hum tumhai bahut pyar karte hain.
tanhayi na mile kisi ko kisi sath k baad,
judayi na ho kisi ko kisi k sath baad,
na pade kisi ko aadat kisi ki iss tarah ki,
1-1 saans aaye kisi ki yaad k baad.
dil k zakhmon ko unse chhupana pada,
ankh tar hai magar unse muskurana pada,
kaise hain mohabbat ki kasak k bhi kisse,
ruthna chahte the hum unse,par manana pada.
pyar se chaho to armaan mang lo,
ruthker chaho to muskan mang lo,
tamanna yeh ki na dena kabhi dokha,
fir hasker chaho to jaan mang lo.
na jeene ki khushi na marne ka gam,
unse milne ki dua karte hain hum,
jeete hain isliye ki wo ek din ayenge,
marte isliye nhi ki akele reh jayenge.
kash awaaz mai itna asar ho jaye,
hum jise yaad kare usse khabar ho jaye,
aaj rab se yahi dua hai meri,
hum jise chahe wo amar ho jaye.
ashq hain kimti yun na jaya karo,
besabab baat ko na badaya karo,
muntzir hain faqat hum to dedaar k,
chah itni si hai na sataya karo.
waqt kabhi bewafa nhi hota,
har ekk dil se bura nhi hota,
jo dusron ko kehte rehte hain bura,
unhai khud ka sach pata nhi hota.
anjaan si mulaqat pehchan ban gyi,
ik mithe se rishte ki jaan ban gyi,
do kadam aap chale-do kadam hum chale,
aur dosti ki raah asaan ban gyi.
tu jo sapno mai aaye jagaye koi na,
tu jo mile soch mai bulaye koi na,
tere hi khyalo ki mile jo saza humein,
ho jaye umar kaid chhudaye koi na.
mehsus to kar tujhe khuda milega,
har roop mai lekin juda milega,
baduaa na kar kisi k liye tu,
gadda tere liye bhi khuda milega.
milna bichhudna sab kismat ka khel hai,
kahi nafrat to kahin dilon ka mel hai,
bik jata hai har rishta iss duniya mai,
sirf dosti hi yahan 'not4sale' hai.
har khushi hai logo k damann mai,
par ekk hasi k liye waqt nhi,
din raat dodti hai duniya,
zindgi k liye hi waqt nhi.
safar mai sath tha jo rehbar ki tarah,
juda hua wo mujhse musafir ki tarah,
khyal aata hai akhir kaise wo bichhda,
jo har waqt sath tha humsafar ki tarah.
haste rahe aap hazaron k bich mai,
jaise phool khilta hai baharo k bich mai,
roshan ho aap duniya mai kuch iss tarah,
jaise chand hota hai sitaron k bich mai.
unki adavat ka andaz kuch aisa hai,
jakhm deker puchhte hai ab haal kaisa hai,
kisi ek se hum gila bhi kya karen,
saari duniya ka mizaaj hi kuch aisa hai.
tute dilon k bhi sapne hote hain,
dil milne k bhi nagme hote hain,
gar koi gam aaye apki zindgi mai,
humein yaad karna,
qki apne to apne hote hain.
har raat kaali nhi hoti,
har subah suraj ki laali nhi hoti,
sache dil se ho agar koi dua,
fir to woh kabhi khaali nhi hoti.
kisi k pass kuch na ho to hasti hai duniya,
kisi k pass kuch ho to jalti hai duniya,
ganimat hai ki humare pass hai aap jaisa dost,
jiske liye har wqt tarasti hai duniya.
parvah karo uski jo apki parvah kare,
jaan banke utar jao aap uski jaan mai,
jo jaan se bhi jyada apki socha kare.
mohabbat ko matt chhupao use jarurat hai jatane ki,
pyar ko matt chhupao use jarurat hai dikhane ki,
par aap parfuem matt lagao apko jarurat hai nahane ki.
wo kareeb na aaye to izhaar kya karte,
khud bane nishana to shikar kya karte,
mar gye par ankhein khuli reh gyi,
isse jyada unka intezar kya karte.
mushkilo se bhag jaana asaan hota hai,
har kadam zindgi ka imtihan hota hai,
darne walo ko kuch nhi milta zindgi mai,
ladne walon k kadmo mai sara jahaan hota hai.
sab kuch bhula raha tha ki tum yaad aa gye,
gam azmaa rha tha ki tum yaad aa gye,
tanhayion mai aaj wo bhuli hui gazal,
dil gunguna rha tha ki tum yaad aa gye.
chalti nhi duniya kisi k aane se,
rukti nhi duniya kisi k jane se,
pyar to sabko mil jata hai har kabhi,
kami to khalti hai kisi k dur jane se.
hasmukh hai biwi use fulzhari kehte hain,
wo jab bhi hasti hai to phool zharte hain,
kar lijiye yakin kuch meri baat ka,
gul to kya usse gulshan bhi darte hain.
sath chhutne se rishte nhi tuta karte,
dil ruthne se raste nhi bantaa karte,
log kehte hain ki unka sapna tut gya,
tut ti hai neend kabhi sapne nhi tuta karte.
chand pe kali ghata chhati to hogi,
sitaron ko muskurahat aati to hogi,
tum lakh chhupao duniya se,magar,
akele mai khud pe hansi aati to hogi.
baju mai bethai log begane hue,
jo the apne wo sayane hue,
mere reham ki chhaanv mai ab tak rahe,
ajnabi ab unke thikane hue.
na jane kya mujhse zamana chahta hai,
mera dil todke mujhko hasana chahta hai,
na jane kya baat zhalakti hai mere chehre se,
har shakhs mujhe azmana chahta hai.
hum rahe na rahe kal kya pata,
bhul bhi jayiye humari khata,
intezar ki bhi to had ho chali,
ab to bata do apne ghar ka pata.
aisa nhi ki mai uske bager mar jaunga,
mai to behta dariya hun sagar mai uttar jaunga,
wo taras jayega pyar ki ekk boond k liye,
mai to badal ban kisi aur pe baras jaunga.
jab nigaho ki hoti h takrar,
dil se pyar ka hota h ikrar,
fir chamann ki baat kya hai janaab,
tab patzhar mai bhi jati hai bahar.
jujhta hai aadmi din-raat roti k liye,
kar raha hai aadmi har baat roti k liye,
dekhte hain wakye hum iss badalte daur mai,
bechta hai aadmi jazbaat roti k liye.
soch lena kadam uthane se pehle,
na mooh mod lena thorr aane se pehle,
tere seene mai bhi dil hai agar janemann,
soch lena mera dil dukhane se pehle.
teri muskurahat meri pehchan hai,
teri khushi hi to meri jaan hai,
akele kuch bhi nhi hai meri zindgi,
teri dosti hi to meri shaan hai.
udte pecho-kham ne dewana bana diya,
ikk baat kya kahi ki afsana bana diya,
shama ki tarah husn nikhar bikhar raha,
jalne ki arzoo mai parwana bana diya.
juthi kasme kha lo baba,
aayi bala ko taalo baba,
rishwat k hain dariya behte,
dubki tum bhi kha lo baba,
jab bhi bolo jhut hi bolo,
aadat aisi dalo baba,
kursi akhir kursi hai bas,
jaise-taise pa lo baba.
bahon ko bahon mai kasle,
gulmohar ki tarah has le,
kharon ki himakat dekho,
phoolon k gaalo ko mas le.
sitare asmaan se chamakte hain,
badal dur se hi baraste hain,
hum bhi azeeb hain,aap dil mai hain,
aur hum mulaqat ko taraste hain.
aah bharte hain magar ro nhi sakte,
jaan hazir hai magar de nhi sakte,
arzoo dil mai hai magar mil nhi sakte,
yad karte hain magar keh nhi sakte.
kabhi khamoshi bahut kuch keh jati hai,
tadapne k liye sirf yaad reh jati hai,
kya fark padta hai dil ho ya koyla,
jalne k baad to sirf rakh reh jati hai.
Mujhe chand Taro se Kya Lena dena
apke Bin in Baharo Se Kya lena Dena
Bus apka Pyar Basa rahe Is dil mein,
Mujhe zmane ki Nazaro se kya lena dena.
Комментариев нет:
Отправить комментарий